There was she, looking at me, across the road,
By the window, I’m drinking tea, across the road. Is it love that happened at first sight? Why is everything suddenly so bright? Hope I am awake, hope I am awake. Passed by me and touched my hand, she smelled like the fragrance of heaven. She looked back and smiled at me, I couldn't move until Mississippi seven. Is it love that is pounding my heart? Is everything real or just a mirage? Hope I am awake, hope I am awake. And one day, she just stood silent, With only one request in her eyes. Oh you, take my hand and spin me, So I could dance with you my whole life. Is it love that is making my legs dance? I know I'm not gonna miss this chance? But am I awake? Hope I am awake.
0 Comments
Na maksad uska ishq me mujhko rulaane ka tha,
Uska kasoor to sirf ek baar muskuraane ka tha. Fitrat meri hi thi use mud-mud kar ke dekhne ki, Aur wo samjhe nahi ye ishq purane jamaane ka tha. Bane the qaasid mere ishare mere izhaar ke par, Uska maamool to aadab karke chale jaane ka tha. Alfaazon tak dil pahunchta ye baat kahan thi, Asal masla to khud ke man ko samjhaane ka tha. Khwabida ban gai aankhe, din me bhi, raat me bhi, Gham to bas taabir ka haqeeqat se haar jaane ka tha. Nawazish hoti uski agar wo bahlakar jati mujhko, Bhatke kadmo ke paas pataa sirf mahkhaane ka tha. Ishq ke is fasaane mein, izhaar nahi, ikraar nahi, Aur wo samjhe nahi ye ishq purane jamaane ka tha. Tujhse judaai ke pal yaad kar aansu bahaa leta hun,
Aansu na nikle to palko par paani lagaa leta hun. Aati nahi hai neend mujhko tanhaai mein aajkal, So takiye ko seene ke paas apne sulaa leta hun. Naa puchho ki kitne mohabbat me aansu bahaye hain, Har roj ek dariya ko samandar se milaa leta hun. Koi aur bhi ho mujhsa, jo mera dard samjhe, Filhaal to aaine ko hi gale apne lagaa leta hun. Ek bujurg aashiq ne gham door karne ki seekh di, Tabse roj ghar me rakhi teri cheeze jalaa leta hun. Gharwalo ne haalat dekhi to rishta dhoondne nikal pade, Sab chup ho jate hain jab wo puche kitna kamaa leta hun. 'Ghalib' kee baat ki had se gujra dard davaa ban jata hai, So main pahle se hi dard ko apni dava banaa leta hun. Tu jaane ke baad bhi itna jaroori hai ‘Arshad’ ko ki, Tere khyaalo ko dene wala waqt khud se churaa leta hun. Thanks to my sister-in-law, Farzana, and my friend, Patricia. Aankhon se dariya bahaa hai, koi bhi katra baaki nahi, Khwabon ke dar par hain taale, kisi ke paas chaabi nahi. Manzar kuch esa hai saamne ki aankh kholne se darta hun, Ik dard bharaa dil pahle se hai, dard isme aur bharta hun. Ab chah hai ki jaisa pahle tha, sab waisa hi ho jaye, Ya jo saalo se dhadak rahaa hai, dil ye mera so jaye. Mahino se apne apno se, gale nahi mile hai, Ye khuda jiska bhi hai, iske ajeeb silsile hai. Man kar rahaa hai mera ab ki nikaal dun dil seene se, Khuda ye teri marzi hai to, kya faayada tere jeene se. Ab chah hai ki ye waqt, ek saal pichhe ho jaye, Ya jo seene me dhadak rahaa hai, dil ye mera so jaye. Ye lambi raat gujaar kar, sahar ko bulaa lenge, Ye hawa jo thahar gayi hai, ise bhi chalaa denge. Mil-julkar rahte the jaise hum, ve din fir se aayenge, Na hoga chehre par mask aur khulke hum muskurayenge. Ab chah hai ki khushiyon kee, baarish fir se ho jaye, Ya jo saalo se dhadak rahaa hai, dil ye mera so jaye. Khwaab hai mere inhe tod ke na jaa tu,
Yun tanha-sa mujhe chhod ke na jaa tu. Jaanta hun tune kiya kisi se vaada hai, Par ishq mera tujhse us vade se bhi jyada hai. Yun khamosh na rah, kuch to kah jaraa tu, Yun tanha-sa mujhe chhod ke na jaa tu, Khwaab hai mere……I Raahon par teri chalaa, tu hi thi manzil, Lahar banke kya karun jo hai hi nahi saahil. Hontho pe thi hansi aur jeene ki hasrat thi, Lakeero ka pta nahi par tere sang hi kismat thi. Kabhi meri bhi raahon par, aa chal jaraa tu, Yun tanha-sa mujhe chhod ke na jaa tu, Khwaab hai mere……I Aaye ho jabse najar, dil ne tujhko hi pukara hai, Ye ishq zamaane ka nahi, ye ishq hamaara hai. Baatein karte karte humne, raatein hain gujari, Ek duje ki aankhon me aur khwaabo me saari. Yun maayus na ho, thoda to muskuraa tu, Yun tanha-sa mujhe chhod ke na jaa tu, Khwaab hai mere……I Haath tera thame hue, dhalti thi meri shamein, Dil tujhse milne ke, karta tha kai bahaane. Aaj ja rhe ho mera dil rooth gya to kya hai, Mujhse jo kiya tha wo waada toot gya to kya hai. Ek gujarish sun le, aaj raat thahar jaa tu, Yun tanha-sa mujhe chhod ke na jaa tu, Khwaab hai mere……I #arshaikhpoetry Raah-e-khuda par mere tera pataa hi rahaa, Jabse dikha hai tu mujhe tera samaa hi rahaa. Hujum lagta tha jo tujhe dekhne ke khatir, Wo us bheed se pare mera jahan bhi rahaa. Mujhe to shab se subah tak tera hi khayal tha, Pyaar tha, mujhko bhi, pyaar tha, Pyaar tha, mujhko hi, pyaar tha. Nazron se nazrein milne pe tu jo sharmaa jati thi, Teri is adaa par to meri jaan si nikal jati thi. Tujhse Judaa hote waqt, na main kuch kah sakaa, Dard dil mein bhara raha par ashq bhi na bah sakaa. Adab se tujhe karne wala mera hi aadaab tha, Pyaar tha, mujhko bhi, pyaar tha, Pyaar tha, mujhko hi, pyaar tha. Gulaab todte waqt jo kaanta tha chubha mujhe, Ye gham bahut kam tha tere jaane ke gham se. Tu chhor kar gya mujhe, ek wajah to batata, Tere aane ke ehsas mein, main zindagi to bitata. Baahein phelakar us jagah par tera hi intzaar tha, Pyaar tha, mujhko bhi, pyaar tha, Pyaar tha, mujhko hi, pyaar tha. Mera muskurana is zamaane ko ab dikhaun kaise, Tera jaisa ho jo waisa main kahin se laun kaise. Har lafz mein ab bas likhtaa hun main bas tujhe, Tere alawa kisi aur ko apni tamanna banaun kaise. Tujhse izhaar karne wala mera hi alfaaz tha, Pyaar tha, mujhko bhi, pyaar tha, Pyaar tha, mujhko hi, pyaar tha. Thank you Priyanka Sinha for suggestions! Kabhi tum bhi dekho humein, jaise hum tumhe dekhte hain, Aaine ke aage aajkal, thoda jyada thahrte hain. Kabhi tum bhi dekho humein………I Yun najrein jhukakar tum, jara muskurakar tum, Gujar jaati ho mere paas se. Mujhme nahi mera kuch, rah rahaa aajkal, Din raat jude tere ehsaas se. Kahni hai batein bahut, par alfazon mein uljhate hain, Bayan jo kar na sake, wo khwabon mein kahte hain. Kabhi tum bhi dekho humein………I Chaand tare sab yahi, kahne lage hain mujhe, Tujhsa na khoobsurat unka jahan. Mera man to hai yahi, sajaa lu tujhko main, Apne hi ghar mein banaake khuda. Tumhein dekhkar subah mein, aankhon mein bharte hain, Raat tak fir us pal ko, yaad hum to karte hain. Kabhi tum bhi dekho humein………I (Now, the girl is singing) Na hai ye mera rastaa, na hi hai meri manzil, Jaane fir kyun idhar hi, le aata hai mujhe dil. Naye ehsaas naye armaan dil mein aane lage hain, Apne milan pe dekho, panchhi gaane lage hain. Tum jo dekho humein, isiliye sanvarte hain, Bayan jo kar na sake, wo khwabon mein kahte hain. Tum jo dekho humein………………….I #arshaikhpoetry Kashti-e-zindagi jaisi bhi hai, is par savaar hun main,
Pichle kai saalo se bahut bimaar hun main. Bas chalta to bahut pahle hi mar jaata lekin, Kisi aur kee kahaani ka bhi kirdaar hun main. Hai baithi udaasi dil mein har waqt phir bhi, Labon pe hansi rakhne wala adakaar hun main. Khwab dheron sajaaye par poora ik bhi nahi kiya, Kabhi-kabhi sochta hun ki kitna bekaar hun main. Kahta hun ujaalon ko andhera, aankhein band karke, Tanha rahne ki jo had hai, rahta uske paar hun main. Ghazal ke ik sher mein Ghalib ka naam kya likh diya, Sabse kahta rahta hun ki bada ghazal-kaar hun main. Aur kab tak ladta rahunga, zindagi se bhi, maut se bhi, ‘Shaikh’ bachaa le mujhe, chalti-firti mazaar hun main. #arshaikhpoetry Khoosboo is mitti mein ab kheton ki kahan hain,
Wo sab majhabon ka bhaichara kahan hain. Saja-si lagti hai mujhe ye mere desh kee, Ki dhoondta hoon ki mere Hindustaan me Hindustaan kahan hai. Jannat ke jaisa jiska har manjar hota tha, Naqaab ke sath bhi wo sabse sunder hota tha, Aansu bahte the kuch bhi galat ko hote dekh, Na bahte to aankhon me samunder hota tha. Sanskaro me lipta ek insaan hota tha, Desh ko khuda man-ne wala ek jahan hota tha, Kabhi na bikne wala wo imaan kahan hai, Ki dhoondta hoon ki mere Hindustaan me Hindustaan kahan hai. EK khwab me dekha tha ek raat jo maine, Lade the do majhab jab mere saamne, Hindu mara to kyun ya allah wo kah gya, Muslim kee zubaan se kyun hey ram nikal gya. Muslim ke sath chalne wala ek hindu hota tha, Hindu ke sath jeene wala ek musalmaan hota tha, Hindu-muslim me bataa wo insaan kahan hai, Ki dhoondta hoon ki mere Hindustaan me Hindustaan kahan hai. Jahan lade the inquilabi desh ki aazadi ke khatir, Wahan jee rahe hain hum aaj bas apne khatir, Jago mere desh ke raahgiro, tum muqaami ho, Hindustaan ke liye jeene wale, tum Hindustaani ho. Soorat humein is desh ki aaj badalni hai, Izzat iski fir se wahi karni hai, Jatn itna karo ki log puchhe tera jahan kahan hai, Aur tum garv se kah sako ki mere Hindustaan me Hindustaan jahan hai. #arshaikhpoetry Kabhi tum bhi dekho humein, jaise hum tumhe dekhte hain,
Aaine ke aage aajkal thoda jyada thahrte hain. Tum, jis gali ke mehmaan bankar gujarte ho, Us gali ke ghar teri khushboo se mahkte hain. Ye kaisa jadoo hai tere kadmo ki aahat mein, Ki jana hai kahin aur humein, par teri aur hi chalte hain. Ahsas nahi hota humein tere peechhe chalne par, Ki kahan thokar khate hain, aur kahan hum sambhalte hain. Tu samne hai aur kahne ko hai sirf ek baat, Par kabhi kaanpte hain to kabhi alfazo me uljhte hain. Haan, fark to hai tere aur mere darmiyaan, Ki tum chaand bankar chamkte ho, hum taaro jaise tut-te hain. Ab nahi jante ‘Shaikh’ ki kahani ka ant kaise kare, Kyunki tum humein waise dekhte nahi, jaise hum tumhe dekhte hain. #arshaikhpoetry This poem has been inspired by the work of Vikesh Beniwal sir and a few lines were taken from his poem : Jo jalaa nahi wo ujaala na de sakaa
Mandir ke liye ya masjid ke liye, Ya phir lad rahe hain majhabi-pehchan ke liye, Hum kyun ladein hum ek hi to hain, Ladna hai to lado Hindustaan ke liye. Na yahan pe insaan hai, na yahan pe imaan hai, Wo kahta hindu hai, wo kahta musalmaan hai, Are dharam ke naam par danga-fasaad chalaa rakha hai, Desh ke har kone me aatankwaad phailaa rakha hai. Galat sochte ho agar sochte ho ki mahaan banker baithe ho, Are insaan bhi door ki baat, tum to shaitaan banker baithe ho. Geeta ke liye ya quran ke liye, Ya phir lad rahe hain jhuthe maan ke liye, Hum kyun ladein hum ek hi to hain, Ladna hai to lado Hindustaan ke liye. Wo khabaro ki taakat ko bhrastachar ki raajneeti me dubaya hain inhone, Jo asal me dikhana tha, wahi har baar chhupaya hain inhone, Are netaon ne jhuthe vaado ke alawa diya hi kyaa hai, Saintalis se ab tak loota, ab humare paas bacha hi kyaa hai, Sachchi khabaro ke jariye tum desh ko jagaa sakte ho, Jo anginat tukdo me tuta hai, use hindustaan banaa sakta ho. Galat tareeko se bas apni dukaan ke liye, Ya phir lad rahe hain jhuthe netao ki shaan ke liye, Hum kyun ladein hum ek hi to hain, Ladna hai to lado Hindustaan ke liye. Jo lade the sang, jiye the sang, jinki wajah se ye desh banaa hai, Un veero ki shahadat yaad karo, jinki wajah se ye desh sajaa hai, Are khud ke khatir jeekar aakhir saabit kyaa karna chahte ho, Hindustaan ke liye kuch nahi karte aur hindustaani ban-na chahte ho, Sarhad pe goliyaan jhelte un sainiko ko salaam karo, Unki tarah tum bhi zindagi, is desh ke naam karo. Apne saamaan ke liye ya phir gumaan ke liye, Ya phir lad rahe hain kisi beimaan ke liye, Hum kyun ladein hum ek hi to hain, Ladna hai to lado Hindustaan ke liye. Ladna hai to lado iske sammaan ke liye, Ladna hai to lado iske abhimaan ke liye, Ladna hai to lado bharat mahaan ke liye. #arshaikhpoetry Bhujh gye hai chirag, dahshat ki is maar me,
Jane kaisi pyaas hai, khoon se lipti is talwaar me, Unke paas jo taakat hai wo hai hume satane ko, Aur humare paas hoti hai ek kahani wo bhi bas sunane ko. Maar diya use ye poochkar ki wo hindu hai ya musalman hai, Dango ki in aag me aakhir jalan to ek insaan hai. Are Bismil aur Ashfaque ki wo behtarin dosti to yaad karo, Un kaatilo ki sunte ho pahle apne dil se to baat karo. Geeta ho ya quran baat to aman ki kahti hai, Tu hath khol ya hath jod, dua to wahi rahti hai. Unke paas jo mazhab hai wo hai hume dikhane ko, Aur humare paas hoti hai ek kahani wo bhi bas sunane ko. Kisi ne use uski kokh me hi maar diya, Kisi ne bhare bazaar me us par atyachar kiya, Ghar-ghar me dahej ke khatir jiski chita jalti hai, Wo aurat hai bedardo jiski wajah se duniya chalti hai. Kabhi balatkar, kabhi kodo ki maar, are kuch to maan karo, Jiske pairo me Jannat hai, uska sar jhukakar samman karo, Par unke paas jo badneeyat hai wo hai gunah karane ko, Aur hamare paas hoti hai ek kahani wo bhi bas sunane ko. Kal maraa qasaab tha, aaj waani maraa hai, Har bar insaano se hi to koi aatanki banaa hai, Bandook se ladai, bam ki tabahi har raat jagaati hai, Haqeeqat me nahi dekhi par khwabo me wo sataati hai. Are khuda ne fasaad karne walo ko kafir bataya hai, Wo aaka jise kahte ho, use jahil bataya hai, Unke paas jo jhootha jihad hai wo hai hume uksaane ko, Aur hamare paas hoti hai ek kahani wo bhi bas sunane ko. #arshaikhpoetry Wo rasta na mera tha, wo thikana na mera tha,
Wo sab paane ke baad deewana na mera tha. Ikhtiyaar kuch is tarah tha use mujh par, Ki ye waqt to guzra, par zamana na mera tha. Jab mayassar hua sab to aa gya kafeela, Use yaad nahi wo hara tha to khilkhilana na mera tha. Ashqon ka har ek qatra gira meri aankhon se, Hua jahan jamaa, wo paimana na mera tha. Ikhlash ki is mohabbat me gum ho gayi meri pehchan, Aur log kahte hain ki wo afsana na mera tha. #arshaikhpoetry Ikrar-e-ishq se mukar jate to achchha hota,
Ya ajnabi banke gujar jate to achchha hota. Kyun bewajah kata ik arsaa, fir bewafa bane, Kuch door chalke mud jate to achchha hota. Khushi-e-mohabbat ke musafir manzil-e-gham ko pahunche, Hum apne hi ghar thahar jate to achchha hota. Ibadaton me mashgool uski, tera ishara na samjha, Khuda tum, zameen pe utar jate to achchha hota. Bazm-e-zalimaa mein be-aabru hue to sochaa, Is shahar ka rastaa bhatak jate to achchha hota. Qatra-qatra bahkar nikal rahe ho dil se, Rooh-jaise tez nikal jate to achchha hota. ‘Ghalib’, nahin janta ‘Shaikh’ ki yun hota to kya hota, Par uske jane se pahle mar jate to achchha hota. Akhari sher Ghalib ki ek ghazal se mutasir hai jiska sher kuch is tarah hai: “Hui muddat ke 'Ghalib' mar gayaa par yaad aataa hai wo har ek baat pe kahna ki yun hota to kya hota.” #arshaikhpoetry Yun ummeedein na tod apni, abhi khawabon ka basar baki hai,
Koi sath chale ya na chale, mehtab ka safar baki hai. Abhi guftagu, hui hai shuru, aane wale mauko mein, Ye raat dhal gyi to kya, imkano ki sehar baki hai. Phaila ho chahe door tak, garm ret ka registaan, Tu chalta rah, tu chalta rah, chhanv-e-sajar baki hai. Gham ki ho zindagi, chahe dukh ke ho raaste, Manzil tera pta puchhegi, bas thodi kasar baki hai. Man haarkar baithne wale, andheron ke musafir hai, Jahan ko jo roshan kar de, tujhme wo hunar baki hai. Sabr ki hadon ko paar kar, tere sath hai jo, Nam ho jis-se pita ki aankhe, wo khushi ki khabar baki hai. Sunta hai wo khuda, chahe sune thodi der se, Maan ne jo mangi thi kabhi, us dua ka asar baki hai. Yaqeen rakh khud pe aur muskurahat labon pe, Fir uth, chal manane, abhi eid ka gujar baki hai. #arshaikhpoetry When this light rain, touches my face,
My heartbeat says something to me. On the lips, when a drop stays, My heartbeat says something to me. That I should immerse in this and remember the time when we first met. That I should close my eyes and imagine our first date. I remember, your sparkling eyes in that rain. You smiled and, at the moment, I felt no pain. I wanted to hold your hand, but I was afraid. I still wish that I should have done that. I imagine a cafe, we are sitting beside a window, with hot coffee and a mountain of snow. I loved when you tucked your hair behind your ear. I cannot believe that It has been a year. When I shiver in this cold breeze, My heartbeat says something to me. When I recall moments like these, My heartbeat says something to me. That I should ask this light rain to take me there where we first met. That I should ask this snowy mountain to take me there where I don’t have to imagine our first date. #arshaikhpoetry A dedication to Mukul Suryawanshi, Deepak Dohare, Monica Saini, Vandana Kaushal and Neha Singh.
Ae dost, sath tere, rasta hi tha, rasta hi tha, Us par sada rahne ka, sapna hi tha, sapna hi tha, Jane kyun fir zindagi ne dar par apne dastak di, Aur ho gye hum sabse judaa, Yaar mere, chal us shahar, Nahar kinare baithenge, pair dooba ke, Yaar mere, chal us shahar, Tapri pe baithenge chai, labon se laga ke. Wo raton ki apni tafreeh, un galiyon ko pataa hai, Havaon ki sarsarahat mein, apni hansi ki sadaa hai. Kahne ko paas apne, hoti anginat batein thi, Chhoti padti thi aakhir, chahe wo lambi ratein thi. Jane kyun fir zindagi ne dar par apne dastak di, Aur ho gye hum sabse judaa, Yaar mere, chal us dagar, Beetein lamhein jis par fir se gujare, Yaar mere, chal us dagar, Aankhein munde aur poore ho khwab saare. Mujhko mere dar se, tune hi ubhara tha, Apne gharon se pare ik, paraya ghar hamara tha. Socha tha is safar me, door tak nikal jayenge, Par pta na tha ki shahar kya, desh hi badal jayenge. Chahe zindagi tune dar par humare dastak di, Aur ho gye hum sabse judaa, lekin, Yaar mere, fir wo sahar, Aayegi jiski raat baton mein thi gujari, Yaar mere, chal us safar, Hogi jis par sirf teri meri yaari. #arshaikhpoetry Khwabo ki nagri me bhi milta nahi jo jahan,
Andhero me gum hai kahin, dhoondoo use ab main kahan. Kyunki ye wo zameen ye wo aasman nahi hai, Ye jo baki sa rah gya hai mera hindustaan nahi hai. Kahte ho tum ki beti ko ghar pe saja rakha hai, Mujhe lagta hai ki band pinjre me parinda rakha hai. Paraya dhan hai agar tumhare liye to ye jhootha mauka kyun hai, Kahte ho sabse ki usme hai hunar to phir use roka kyun hai. Use bhi apni takat ko is jamane ko dikhane do, Use bhi apni udaan se aasman ko cheer jane do. Par jo honi chahiye uski bas wahi pahchan nahi hai, Ye jo baki sa rah gya hai mera hindustaan nahi hai. Gum ho gyi hai, khooshboo ab us khet me, Kisan laut raha hai phir sukhi us ret me. Halat kaisi bhi ho wo ann uga raha hai, Hum to roti kha rahe hai wo bhukha soye ja raha hai. Jantar-mantar se use uthakar kheto me pahunchana hoga, Wo hamein khilata hai to humein use khilana hoga. Par mera ye desh ab utna mahan nahi hai, Ye jo baki sa rah gya hai mera hindustaan nahi hai. Kyun koi kahin bhi kuch bhi bole ja raha hai, Ye hindustaan me akhir ho kya raha hai, Ki kisi ne aatankvadiyon ko khuda bana rakha hai, To kisi ne bharat mata ko rajneeti bana rakha hai. Desh ke khilaaf kahne ki aazadi ko band karna hi hoga, Hindustaan ko badalne ke liye in logon ko badalna hi hoga. Par hum bulbule the jiski ye wo gulistaan nahi hai, Ye jo baki sa rah gya hai mera hindustaan nahi hai. #arshaikhpoetry Na koi khazana, na koi bazaar loota hai,
Uski mohabbat ne sirf mera gharbar loota hai. Kahte hai ki ek hi bar milta hai dard-e-ishq lekin, Wo jab-jab dil se guzra dil har bar loota hai. Dil ka sauda mohabbat ke jariye na karna yaro, Ye wo vyapar hai jo har bar loota hai. Thakta nahi tha main uski adaon pe marta-marta, Wo kya jane usne apna hi tarafdar loota hai. Zindagi ke rang-manch pe aneko natak kiye, Par usne meri har kahani ka har kirdar loota hai. Shikwa to sirf is bat ka hai mere dil ko ki, Use jara bhi afsos nahi ki usne apna hi yaar loota hai. Andhero ki aandhiyo me bhujhte “Deepak” ka kya dosh, Jo kisi beiman ne fir ek imandaar loota hai. #arshaikhpoetry Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin,
Jahan pe hai ye jahan khatm hota, aashiyan banaye wahin. Udne ki jahan par izazat bhi hogi, Chand choona bhi qaramat hogi, Lahron ki sahil se jab mulaqat hogi, Dono me sirf yahi baat hogi. Tu hai to hai naam mera, Tu nahin to puche na baira, Paravat pe safed chadar bhi hogi, Sard hawayein wahin, sard hawayein wahin, Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin. Khoobsoorat jahan par savera bhi hoga, Jo yahan humne kabhi na dekha hoga, Jab-jab wahan par shaam dhalegi, Phoolon se khooshboo har taraf mahkegi. Jahan par na hogi ye tanha si raatein, Wahan par karenge hum sitaro se baatein, Neendein jahan sabhi poori hogi, Soyenge hum bas wahin, soyenge hum bas wahin, Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin. Jahan par na ye tanhai hogi, Na thodi si bhi rushwai hogi, Izhar hum tumse wahin par karenge. Wahan to hum khud se bhi na darenge. Bolenge hum ki tum ho humare, Ye raatein, ye baatein gawah hai saare, Mohabbat ki barish wahin par hogi, Bheegenge hum bas wahi, bheegenge hum bas wahin, Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin. #arshaikhpoetry Jo poora hua ho kabhi, wo khwab nahi dekha,
Mohabbat ke anjaamo ka maine aagaz nahi dekha. Kah to doon andheron se ki ujala le aaye, Par andheron me rahne ka maine andaaz nahi dekha. Ye duniya bahut hi jaalim hai kyunki, Kisi imaandar ke sar par maine taaj nahi dekha. Muddaton se mashroof hoon, ishq ke falsafe me, Muddaton se maine apna kaam-o-kaaj nahi dekha. Yun to wapas gya tha main uske dar par, Par kafiro ki gali main us-sa najar-andaaz nahi dekha. Shaakh se tuta patta sookhta hi to hai, Uske zinda rahne ka maine aizaz nahi dekha. Dekhne me to maine ‘Shaikh’ bahut kuch dekha, Par wafadar ka sath dene wala samaaj nahi dekha. #arshaikhpoetry Kise main bura kahun, kise main bhalaa kahun,
Ek chehra hai, ek naqab hai, kise main kya kahun. Aadtan hai ye ki yaqeen karun sab par, Agarche sab galat to kaisi ye duniya kahun. Jidhar bhi dekhun to siyaasat-e-kursee hai, Insaan ko insaniyat se hi main judaa kahun. Haal-e-aurat hai ye ki be-aabru hokar mar gayi, Khuda ye teri marzi hai to kyun tujhe main khuda kahun. Andhero ki aandhiyo me chiraag bhujh rahe hain, Yahan shaam kya, raat kya, subah ko bhi dhalaa kahun. Teeno rango ko samjhne wale mazhabi bahut hain, Tirange ko jo samjhe use hi main insaan kahun. Aankhon dekhi kahani mein, koi kirdar sahi nahi, 'Arshad' fir tu hi bta, kise main apna kahun. #arshaikhpoetry Mere lab lage hain muskurane, aahista aahista hi sahi,
Shuru ho gye hain ye fasaane, aahista aahista hi sahi. Najron se milne lagi hai najar, khwab bhi ab tere hi hai, Mujh par hua hai ye kaisa asar, jajbaton ke ghar tere hi hai. Thoda thahar kar lage ho jane, aahista aahista hi sahi, Mere lab lage hain muskurane, aahista aahista hi sahi. Shahnaiyan baj rahi hain, tere aane se zindagi mein, Ghatayein baras rahi hain, apne milan ki Khushi mein. Socha tha jo ek din, wo ujla sitara bhi hai, Ek tu hai ek main, aur ek jahan hamara bhi hai. Tum bhi lage ho paas aane, aahista aashista hi sahi, Mere lab lage hain muskurane, aahista aahista hi sahi. Aa tere noor se main, apna savera kar lun, Tu jis tarah hai mujhme, tujhme basera kar lun. Shaamon me tera chehra, naya rang bhar rha hai, Pta chandni ka bhi to, tera dar hi raha hai. Mujh par lage ho haq jataane, aahista aahista hi sahi Mere lab lage hain muskurane, aahista aahista hi sahi. #arshaikhpoetry A tribute to every soldier fighting for the country either on the border or inside
Dil se kuch karne ka hum armaan lekar nikle hain, Ghar se apne saara hum saaman lekar nikle hain. Dum agar hai ae qaatil tujhme to rok kar humko dikha, Apni hatheli par hum apni jaan lekar nikle hain. Junoon hai jeet ka kuch is tarah hum par, Hum zameen apni, apna hi aasman lekar nikle hain. Jhukne ki aadat ko chhod ladne ki jaroorat hai samjhi, Tujhe mitane ka ae galat hum aahwaan lekar nikle hain. Chahe wahan nafrat lekar kuch beimaan nikle honge, Yahan hindu apne sath musalmaan lekar nikle hain. Ae hawa zara ye bataa dena shahidon ko, Ki unke vicharon ka hum paigham lekar nikle hain. Na jaat hai, na majhab hai aur na hai koi aur bhed yahan, Hathon me tiranga aur dil me hum hindustaan lekar nikle hain. #arshaikhpoetry Ashq puchhe dhadkan se meri, bah jaun kya uska naam lekar,
Shukh jayegi jab ye aankhein, so jaunga inhe haseen shaam dekar, Mohabbat ke in alfazon ko ashqon me poora hone do, Tuta hai aaj dil mera, aaj mujhe bas rone do. Uske paas rahne pe zannat ka ehsas tha, Wo hath thamti thi to jaise khuda ka sath tha. Phir kyun mere izhar ka usne inkar kiya, Kyun toda dil apna jab khud ne bhi pyaar kiya. Khwaishein meri saari ab khatm hone lagi hai, Labon pe jo hansi thi wo gum hone lagi hai. Mujhe roshni se door andheron me khone do, Tuta hai aaj dil mera, aaj mujhe bas rone do. Dil ke ujale ab nahin hai mere, raatein hai teri yaadon ki, Aarzoo ab dil kya hi karein, dhadkane hai tere jajbaton ki. Aasman ke wo sitare mujhsa kahin tutne lage hai, Jugnoo bhi andheron me baithe roshni se roothne lage hai. Ishq ki is gali ka main har pal rahgujar rahunga, Ye jakhm jab tak bharta nahin, main tujhe apna kahunga. Mujhe aankh band karke jara chain se sone do, Tuta hai aaj dil mera, aaj mujhe bas rone do. Tum jane se pahle ek baar aajmakar to jati, Yun rota chhorkar gai mujhe jara bahlakar to jati. Takdeer to teri hi wajah se thi meri, Bas jane se pahle hathon me lakeerein banakar to jati. Ab tere bin jane hum jeetein kaise hain, Judai ke is gham me har pal beetein kaise hain. Bheegi palko par meri siskiyon ko sone do, Tuta hai aaj dil mera, aaj mujhe bas rone do. #arshaikhpoetry |
Archives
|