The structure of this poem is adapted from Veer-Zaara movie. Main, Arshad R Shaikh, jab apne ghar ko dekhta hun,
Sabr se mukammal apne papa ko dekhta hun. Zindagi me ladne wale har dam wo jeet-te hai, Har waqt sachchai ke sath sar uthakar wo chalte hai, Unke liye kai zindagi jeene ko man karta hai, Unke liye har zindagi qurbaan karne ko man karta hai. Log kahte hain ki koi khuda jaisa nahin, Phir kyun mujhe khuda jaise wo lagte hai, Log kahte hain ki koi kisi ka nahin, Phir kyun mujhe mera sabkuch wo lagte hai. Main, Arshad R Shaikh, jab apne ghar ko dekhta hun, Mujhe behad pyaar karne wali apni ammi ko dekhta hun. Har waqt dusro se pyaar karne ka sabak wo deti hai, Ghar ki khushiyo ke khatir har dard wo sahti hai, Unke chehre ke noor se jeene ko man karta hai, Unke khatir dil se kuch karne ko man karta hai. Log kahte hain ki duniya me Jannat nahin, Phir kyun unke deedar se duniya Jannat si lagti hai, Log kahte hain ki koi kisi ka nahin, Phir kyun mujhe mera sabkuch wo lagti hai. Main, Arshad R Shaikh, jab apne ghar ko dekhta hun, Khud ki raah banane wale apne bhai ko dekhta hun. Khwabo ki udaan se aasman ko chhune ka hunar wo rakhta hai, Lahar ki tarah kinare ko pane ka hunar wo rakhta hai, Uski banai raah pe chalne ko man karta hai, Uske sath bachpan ki ladaiyan ladne ko man karta hai. Log kahte hai ki koi behattar insaan nahin, Phir kyun mujhe sabse behattar wo lagta hai, Log kahte hain ki koi kisi ka nahin, Phir kyun mujhe mera sabkuch wo lagta hai. Main, Arshad R Shaikh, jab apne ghar ko dekhta hun, Mujhse bahas karne wali apni chhoti bahan ko dekhta hun. Kahti hai khud ko Zainab, mujhe bhaijaan wo bulati hai, Hai thodi si pagal par khush rahne ka ehsas wo dilati hai, Uska har khwab poora karne ko man karta hai, Usse befizool ki batein karne ko man karta hai. Log kahte hain ki khuda se kuch ataa nahin, Phir kyun mujhe khuda ka tohfa wo lagti hai, Log kahte hain ki koi kisi ka nahin, Phir kyun mujhe mera sabkuch wo lagti hai. Main, Arshad R Shaikh, jab apne ghar ko dekhta hun, Bad si duniya me basi chhoti si Jannat ko dekhta hun. #arshaikhpoetry
1 Comment
Pahle kahin siskati thi main andhero me,
Ab ujale bhi nahi mere to kahun ki main haar gyi. Shokh se dekhe jamana, tamasha-e-aabru-e-aurat, Khud ko har dafa jalakar kahun ki main haar gyi. Koi bataye ki soun kaise jab sapno se hi dar lagta hai, Parayo se to darungi hi jab apno se hi dar lagta hai. Wo bekhauf uski nazrein mere badan ko cheer deti hai, Wo bad uski neeyat mujhe belibaz kar deti hai. Phir us mod se aaj jaleel hokar nikli hun, Mujhe chhor do papiyo main to abhi bachchi hun. Apni chunar lapet kar baithi hun kone me, Us chunar se khud ko harakar kahun ki main haar gyi. Haan main haar gyi, duniya ke un jhuthe ilzamo se, Haan main haar gyi, dard dene wale un haiwano se. Par esa kyun ho, aakhir meri khataa kya hai, Main itna tadpi hun to un darindo ki sajaa kya hai. Nahin mujhe kisi ki ab yahan darkaar hai, Nahin mujhe kisi se insaaf ka intzar hai. Krodh ki agni se mujhe bagavat ki mashal jalani hogi, Jamane se ladne ko phir jagani ek mardani hogi. Khoon se sani chunar mera kavach ban jayegi, Meri aankho ki jwala ik sooraj ban jayegi. Darti thi jisse kabhi ab na wo andhera hoga, Ye raat to dhalegi magar mujhme sadaa savera hoga. Khuda teri reet hai dharm-adharam ki, Teri jagah is bar main wo reet nibhaungi. Chahe kal main haar gyi thi, Lekin aaj main jeet jaungi, aaj main jeet jaungi. #arshaikhpoetry Sitaro se bhi chamkeela ek jahan banana baki hai,
Khwabo se chhoone wala wo aasman banana baki hai. Chalo chalte hai sath milkar kuch karne ko, Kyunki abhi humein hindustaan banana baki hai. Wo bachpan ki salami, wo ek kahani aaj yaad aati hai, Jo jan-gan-man, vande matram ka ehsas dilati hai. Wo laddoo ka mithapan, patashe ka Jeevan sab acha tha, Wo desh ka geet, dil ka sangeet sab sachcha tha. Gaaye bahut ye geet bachpan se ab tak humnein, Dil ko ab inka matlab samjhana baki hai. Chalo chalte hai sath milkar kuch karne ko, Kyunki abhi humein hindustaan banana baki hai. Diwali ke diye se ujli har raat hua karti thi, Eid ki sevaiyon se mithi har baat hua karti thi. Lohdi ka wo dhuan har ghar me mahakta tha, Holi ke rango me mera ye desh sajta tha. Bhool chuke hai shayad hum pyaar karne ka tareeka, Abhi humein ek-duje ko apnana baki hai. Chalo chalte hai sath milkar kuch karne ko, Kyunki abhi humein hindustaan banana baki hai. Aaj suni sadko par har roj gunah ho rahe hai, Devi jise kahte the usi ki izzat kho rahe hai. Ladkhadate kadmo se hum rasta bhatkne lage hai, Jana hai kahin aur kahin aur chalne lage hai. Ye desh rutha sa lage hai mujhe khud se kahin, Ise aaj humein khud se manana baki hai. Chalo chalte hai sath milkar kuch karne ko, Kyunki abhi humein hindustaan banana baki hai. #arshaikhpoetry Main apne khwabon ko apne ashqon me bahakar baitha hun,
Tere jane ke gham ko dil se lagakar baitha hun. Janta hun nahi aayega tu phir kabhi, Phir bhi e bewafa tujhe khuda banakar baitha hun. Khata teri nahi khata meri hai tujhpe yaqeen karne ki, Main khud ko ta-umr tanhai ki saja sunakar baitha hun. Tu jahan bhi rahe tere saare khwab poore ho, Main jugnuon ko tera pata batakar baitha hun. Nahi hai wo mera thikana ab badal gya hai sab, Main apni duniya main sara jamana bhulakar baitha hun. Jajbaton ke izhar me chand-suraj ka kya kaam, Andheron ko main apne ghar me sajakar baitha hun. Wabsta hai gham ishq se ye suna tha, Ye rivayat poori karke khud ko harakar baitha hun. Jis siddat ka ishq hai utni hi tanhai hai, Main siskiyon ko apne paas baithakar baitha hun. Main musafir hun aaj manjil paane ke baad bhi, Phir se tere aane ki ummed jagakar baitha hun. #arshaikhpoetry Aahat koi ho to lage ki tum ho,
Saaya koi dikhe to lage ki tum ho, Raat se subah phir se aaye ese, Jaise raat bhar paas mere lete tum ho. Aaj dil de raha hai ek sadaa, tujh bin mera hai hi kya, Aa jana angnaa suna mera, aa jana dil tanha mera. Muddat ho gyi hai tujhko dekhe hue, Taqaze pe pahle naam tera hai. Hamari judai ka tu eitbar kar le, Ki kahin tu kahin hum zinda hai. Aaj dil kar raha hai ek dua, tujh bin mera hai hi kya, Aa jana angnaa suna mera, aa jana dil tanha mera. Wo armano ka anjuman is tarah ka tha, Ki mera yar mera na, zamane ka tha. Wo sauda kiya maine mohabbat se tera, Na mili mohabbat na tera pta tha. Dhoondta hun har pal tera nishan, tujh bin mera hai hi kya, Aa jana angnaa suna mera, aa jana dil tanha mera. Har khwab me aansoo bas teri wajah se, Mere ghar ka ghar na hona bas teri wajah se. Har dagar se gujru tujhko paane ke khatir, Ek baar mil bhi ja mujhe bas mere khatir. Kah raha hai tujhse mera khuda, tujh bin mera hai hi kya, Aa jana angnaa suna mera, aa jana dil tanha mera. #arshaikhpoetry Ye zindagi bhi bahte hue pani ki tarah hai,
Har waqt chalti hai ek nayi boond ke sath. Raste me paththar bhi milte hai, Kinaro pe kaliyan bhi khilti hai. Ye majboot paththar, ye mahkati hui kaliyan aur bahti hui har boond ehsas dilati hai mujhe ki aaj jeele ki aaj jeele tu, kya pta kal tere liye rahe na rahe, kya pta tu kal ke liye rahe na rahe. Ye zindagi bhi bahte hue pani ki tarah hai, Har waqt chalti hai ek nayi boond ke sath. Raste me nahrein bhi milti hai, Raste me nadiyan bhi milti hai. Ye nahro se milkar, ye nadiyo se judkar udh jati hai ek nayi umang ki tarah aur ehsas dilati hai mujhe ki aaj udh ja ki aaj udh ja tu kya pta kal raaste rahe na rahe, kya pta kal manzil rahe na rahe. Ye zindagi bhi bahte hue pani ki tarah hai, Har waqt chalti hai ek nayi boond ke sath. Raste me jeet bhi milti hai, Raste me haar bhi milti hai. Ye jeet ka yaqeen rakhkar, ye apni haar ko bhulakar badh jati hai ek nayi kamyabi ki taraf aur ehsas dilati hai ki aaj badh ja ki aaj badh ja tu kya pta kal jeet ka yaqeen rahe na rahe, kya pta kal fir haar tere samne khadi rahe. Ye zindagi bhi bahte hue pani ki tarah hai, Har waqt chalti hai ek nayi boond ke sath. aur ehsas dilati hai mujhe ki aaj jeele, ki aaj udha ja, ki aaj badh ja tu. #arshaikhpoetry Kuch ankahi si ansuni si batein baki hai,
Haa, nazro me mere ek khamoshi baki hai. Yun to lafz bahut hai kahne ko mere paas, Par dil me mere chup-si ek zubaan baki hai. Har gali se chhupkar tujhko dekhne ki aadat thi, Bas us aadat ko ab jarurat banana baki hai. Yun to tera pichha me roj hi karta tha, Par tera wo pichhe dekhkar muskurana baki hai. Tere chehre ke noor se hoti hai roshni, Bas tera wo chehre se naqab hatana baki hai. Ek khwab me dekhi maut teri god me, Aaj us khwab to poora karna baki hai. Izhar na kar ska kal main apni mohabbat ka, Phir bhi zindagi bhar ka tera intzar baki hai. Aaj tumne puchha hai ki ab kya baki hai, Tujhpe kurbaan kar doo abhi wo zindagi baki hai. #arshaikhpoetry Muddat ho gyi rote hue phir aankh me nami kyun hai,
Tera chehra jalima ab tak lagta humein haseen kyun hai. Ishq ke bazar me nikle the tum humare sath, Tum bik gye khushi se jo roye wo humi kyun hai. Aaine ke samne muskurate hue sanvarte the hum, Aaina puchhe humse ki mayoos teri hasi kyun hai. Na kuch tha dil me humare tere aane se pahle, Tere jane ke baad chubhti teri kami kyun hai. Bheega dete the badal humein pyaar ki barish me, Khud hi ke aansuo me bheegti ab ye zameen kyun hai. Tum bewafai ke baad itne aage nikal gye, Aur hum abhi talak baithe yahin kyun hai. Tera naam lene pe dard hota hai seene me, Phir bhi jeene ke liye tu lazmi kyun hai. Ujale ka aasman rakhkar itrate the hum bahut, Andhero me ek-tak nigaahein ab jami kyun hai. Saal gujar rahe hai dil ko jawab de ‘Arshad’, Ki aakhir ye zindagi wahin par thameen kyun hai. #arshaikhpoetry Khat me likhi tere aane ki khabar dekhta hun,
Main tere tassavur se mahka apna ghar dekhta hun. Jane kab kis taraf tere kadam pade O sathi, Main tujhe har gali har dagar dekhta hun. Arsa beet gya hai tera deedar kiye hue, Main tere jane ka khud pe asar dekhta hun. Barsat me chhip jaye kahin mere aansoo, Tujhe yaad karke phir wo ambar dekhta hun. Tere noorani chehre ko dekhegi jo khushnasib, Aaine me wo apni najar dekhta hun. Aaoge jo tum to purani batein karenge, Tere bina to bas waqt ka guzar dekhta hun. Na der karo sathi ab intzar mushkil lagta hai, Bina dastak ke hi main apna dar dekhta hun. Bhool chuka tha main ishq karne ka tareeka, Aaj phir dil me mohabbat ki sharar dekhta hun. Tum aa jaoge to nahi chhorunga tumhara sath, Main tere sath apni zindagi ta-umr dekhta hun. #arshaikhpoetry Tera aankhon se wo sharmana kahan hai,
Main dhoondta hun jo wo muskurana kahan hai. Jis ada pe teri mujhe pyaar aata tha, Tera hathon se wo chehra chhupana kahan hai. Avval avval to hum har roj milte the, Ab tera us gali ke mod par aana kahan hai. Tere sang zindagi bitane ke khawab dekhe, Khwabo ko us tarah ab sajana kahan hai. Chali gyi yunhi tum mujhe tanha karke, Main aaj bhi dhoondu jo wo tera thikana kahan hai. Tujhse puchhe bina to meri saans bhi na chalti thi, Mujh par is tarah ka tera haq jatana kahan hai. Tu jane ke bad bhi to mere dil me rahi, Pareshan karne wali un yaadon ka jana kahan hai. Waqt ki kashti bahi thi, ise tu bahne deti, Bina kinare ke to lahron ka lahrana kahan hai. Kitna intzar kiya hai maine tu janti nahi, Aaogi to puchhunga ki mera najrana kahan hai. Shayad ab na ummeed hai, na mohabbat hai ‘Arshad’, Main khud me hi dhoondta hun jo, wo deewana kahan hai. |
Archives
|