Sitaro se bhi chamkeela ek jahan banana baki hai,
Khwabo se chhoone wala wo aasman banana baki hai. Chalo chalte hai sath milkar kuch karne ko, Kyunki abhi humein hindustaan banana baki hai. Wo bachpan ki salami, wo ek kahani aaj yaad aati hai, Jo jan-gan-man, vande matram ka ehsas dilati hai. Wo laddoo ka mithapan, patashe ka Jeevan sab acha tha, Wo desh ka geet, dil ka sangeet sab sachcha tha. Gaaye bahut ye geet bachpan se ab tak humnein, Dil ko ab inka matlab samjhana baki hai. Chalo chalte hai sath milkar kuch karne ko, Kyunki abhi humein hindustaan banana baki hai. Diwali ke diye se ujli har raat hua karti thi, Eid ki sevaiyon se mithi har baat hua karti thi. Lohdi ka wo dhuan har ghar me mahakta tha, Holi ke rango me mera ye desh sajta tha. Bhool chuke hai shayad hum pyaar karne ka tareeka, Abhi humein ek-duje ko apnana baki hai. Chalo chalte hai sath milkar kuch karne ko, Kyunki abhi humein hindustaan banana baki hai. Aaj suni sadko par har roj gunah ho rahe hai, Devi jise kahte the usi ki izzat kho rahe hai. Ladkhadate kadmo se hum rasta bhatkne lage hai, Jana hai kahin aur kahin aur chalne lage hai. Ye desh rutha sa lage hai mujhe khud se kahin, Ise aaj humein khud se manana baki hai. Chalo chalte hai sath milkar kuch karne ko, Kyunki abhi humein hindustaan banana baki hai. #arshaikhpoetry
0 Comments
Leave a Reply. |
Archives
|