Raah-e-khuda par mere tera pataa hi rahaa, Jabse dikha hai tu mujhe tera samaa hi rahaa. Hujum lagta tha jo tujhe dekhne ke khatir, Wo us bheed se pare mera jahan bhi rahaa. Mujhe to shab se subah tak tera hi khayal tha, Pyaar tha, mujhko bhi, pyaar tha, Pyaar tha, mujhko hi, pyaar tha. Nazron se nazrein milne pe tu jo sharmaa jati thi, Teri is adaa par to meri jaan si nikal jati thi. Tujhse Judaa hote waqt, na main kuch kah sakaa, Dard dil mein bhara raha par ashq bhi na bah sakaa. Adab se tujhe karne wala mera hi aadaab tha, Pyaar tha, mujhko bhi, pyaar tha, Pyaar tha, mujhko hi, pyaar tha. Gulaab todte waqt jo kaanta tha chubha mujhe, Ye gham bahut kam tha tere jaane ke gham se. Tu chhor kar gya mujhe, ek wajah to batata, Tere aane ke ehsas mein, main zindagi to bitata. Baahein phelakar us jagah par tera hi intzaar tha, Pyaar tha, mujhko bhi, pyaar tha, Pyaar tha, mujhko hi, pyaar tha. Mera muskurana is zamaane ko ab dikhaun kaise, Tera jaisa ho jo waisa main kahin se laun kaise. Har lafz mein ab bas likhtaa hun main bas tujhe, Tere alawa kisi aur ko apni tamanna banaun kaise. Tujhse izhaar karne wala mera hi alfaaz tha, Pyaar tha, mujhko bhi, pyaar tha, Pyaar tha, mujhko hi, pyaar tha. Thank you Priyanka Sinha for suggestions!
0 Comments
|
Archives
|