Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin,
Jahan pe hai ye jahan khatm hota, aashiyan banaye wahin. Udne ki jahan par izazat bhi hogi, Chand choona bhi qaramat hogi, Lahron ki sahil se jab mulaqat hogi, Dono me sirf yahi baat hogi. Tu hai to hai naam mera, Tu nahin to puche na baira, Paravat pe safed chadar bhi hogi, Sard hawayein wahin, sard hawayein wahin, Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin. Khoobsoorat jahan par savera bhi hoga, Jo yahan humne kabhi na dekha hoga, Jab-jab wahan par shaam dhalegi, Phoolon se khooshboo har taraf mahkegi. Jahan par na hogi ye tanha si raatein, Wahan par karenge hum sitaro se baatein, Neendein jahan sabhi poori hogi, Soyenge hum bas wahin, soyenge hum bas wahin, Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin. Jahan par na ye tanhai hogi, Na thodi si bhi rushwai hogi, Izhar hum tumse wahin par karenge. Wahan to hum khud se bhi na darenge. Bolenge hum ki tum ho humare, Ye raatein, ye baatein gawah hai saare, Mohabbat ki barish wahin par hogi, Bheegenge hum bas wahi, bheegenge hum bas wahin, Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin. #arshaikhpoetry
0 Comments
Leave a Reply. |
Archives
|