Arshad R Shaikh
  • Home
  • Stories
  • Poetry
  • Science
  • MyCV
  • About

Mera Ghar : Ek Jannat

29/8/2018

1 Comment

 
The structure of this poem is adapted from Veer-Zaara movie.
Main, Arshad R Shaikh, jab apne ghar ko dekhta hun,
Sabr se mukammal apne papa ko dekhta hun.
Zindagi me ladne wale har dam wo jeet-te hai,
Har waqt sachchai ke sath sar uthakar wo chalte hai,
Unke liye kai zindagi jeene ko man karta hai,
Unke liye har zindagi qurbaan karne ko man karta hai.
 
Log kahte hain ki koi khuda jaisa nahin,
Phir kyun mujhe khuda jaise wo lagte hai,
Log kahte hain ki koi kisi ka nahin,
Phir kyun mujhe mera sabkuch wo lagte hai.
 
Main, Arshad R Shaikh, jab apne ghar ko dekhta hun,
Mujhe behad pyaar karne wali apni ammi ko dekhta hun.
Har waqt dusro se pyaar karne ka sabak wo deti hai,
Ghar ki khushiyo ke khatir har dard wo sahti hai,
Unke chehre ke noor se jeene ko man karta hai,
Unke khatir dil se kuch karne ko man karta hai.
 
Log kahte hain ki duniya me Jannat nahin,
Phir kyun unke deedar se duniya Jannat si lagti hai,
Log kahte hain ki koi kisi ka nahin,
Phir kyun mujhe mera sabkuch wo lagti hai.
 
Main, Arshad R Shaikh, jab apne ghar ko dekhta hun,
Khud ki raah banane wale apne bhai ko dekhta hun.
Khwabo ki udaan se aasman ko chhune ka hunar wo rakhta hai,
Lahar ki tarah kinare ko pane ka hunar wo rakhta hai,
Uski banai raah pe chalne ko man karta hai,
Uske sath bachpan ki ladaiyan ladne ko man karta hai.
 
Log kahte hai ki koi behattar insaan nahin,
Phir kyun mujhe sabse behattar wo lagta hai,
Log kahte hain ki koi kisi ka nahin,
Phir kyun mujhe mera sabkuch wo lagta hai.
 
Main, Arshad R Shaikh, jab apne ghar ko dekhta hun,
Mujhse bahas karne wali apni chhoti bahan ko dekhta hun.
Kahti hai khud ko Zainab, mujhe bhaijaan wo bulati hai,
Hai thodi si pagal par khush rahne ka ehsas wo dilati hai,
Uska har khwab poora karne ko man karta hai,
Usse befizool ki batein karne ko man karta hai.
 
Log kahte hain ki khuda se kuch ataa nahin,
Phir kyun mujhe khuda ka tohfa wo lagti hai,
Log kahte hain ki koi kisi ka nahin,
Phir kyun mujhe mera sabkuch wo lagti hai.
 
Main, Arshad R Shaikh, jab apne ghar ko dekhta hun,
Bad si duniya me basi chhoti si Jannat ko dekhta hun.

​
#arshaikhpoetry
Comment
1 Comment
Asif saiyed
30/8/2018 10:37:12 am

Really nice sir..

Reply



Leave a Reply.

    Archives
    ​
    Hope I am awake
    Purane Jamaane Ka Ishq
    Bahaa Leta Hun
    Ab Chah Hai Ki...
    Khwaab Hai Mere
    Pyaar Tha
    Tum Bhi Dekho Humein-2
    Bahut Bimaar Hun Main
    Hindustaan Kahan Hai
    Tum Bhi Dekho Humein
    Hinduataan Ke Liye
    Ek Kahani Sunane Ko
    Na Mera Tha
    To Achchha Hota
    Ummeedein
    Light Rain and Love
    Yaar Mere
    Loota Hai
    Naya Aashiyan
    Wo Khwab Nahi Dekha
    Kise Main Kya Kahun
    Aahista Aahista Hi Sahi
    Hindustan Lekar Nikle Hai
    ​Aaj Mujhe Bas Rone Do  
    Mera Ghar : Ek Jannat
    Main Haar Gayi

    Hindustan Banana Baki Hai
    ​
    Tere Jane Ka Gham
    ​
    Mera Hindustaan Nahi Hai
    Aa Jana
    ​Zindagi Ek Bahta Pani
    ​
    Kuch To Baki Hai
    ​
    Aankh Me Nami Kyun Hai
    Tujhe Dekhta Hun

    Tu Kahan Hai

    August 2021
    June 2021
    May 2021
    March 2021
    January 2021
    December 2020
    September 2020
    August 2020
    June 2020
    January 2020
    November 2019
    October 2019
    June 2019
    April 2019
    March 2019
    January 2019
    December 2018
    November 2018
    September 2018
    August 2018

​Everyone has a story. Every story has a hero. And one day you will tell your story to inspire others.  ​
© COPYRIGHT 2024. ALL RIGHTS RESERVED.
  • Home
  • Stories
  • Poetry
  • Science
  • MyCV
  • About