Ye zindagi bhi bahte hue pani ki tarah hai,
Har waqt chalti hai ek nayi boond ke sath. Raste me paththar bhi milte hai, Kinaro pe kaliyan bhi khilti hai. Ye majboot paththar, ye mahkati hui kaliyan aur bahti hui har boond ehsas dilati hai mujhe ki aaj jeele ki aaj jeele tu, kya pta kal tere liye rahe na rahe, kya pta tu kal ke liye rahe na rahe. Ye zindagi bhi bahte hue pani ki tarah hai, Har waqt chalti hai ek nayi boond ke sath. Raste me nahrein bhi milti hai, Raste me nadiyan bhi milti hai. Ye nahro se milkar, ye nadiyo se judkar udh jati hai ek nayi umang ki tarah aur ehsas dilati hai mujhe ki aaj udh ja ki aaj udh ja tu kya pta kal raaste rahe na rahe, kya pta kal manzil rahe na rahe. Ye zindagi bhi bahte hue pani ki tarah hai, Har waqt chalti hai ek nayi boond ke sath. Raste me jeet bhi milti hai, Raste me haar bhi milti hai. Ye jeet ka yaqeen rakhkar, ye apni haar ko bhulakar badh jati hai ek nayi kamyabi ki taraf aur ehsas dilati hai ki aaj badh ja ki aaj badh ja tu kya pta kal jeet ka yaqeen rahe na rahe, kya pta kal fir haar tere samne khadi rahe. Ye zindagi bhi bahte hue pani ki tarah hai, Har waqt chalti hai ek nayi boond ke sath. aur ehsas dilati hai mujhe ki aaj jeele, ki aaj udha ja, ki aaj badh ja tu. #arshaikhpoetry
0 Comments
Leave a Reply. |
Archives
|