Khat me likhi tere aane ki khabar dekhta hun,
Main tere tassavur se mahka apna ghar dekhta hun. Jane kab kis taraf tere kadam pade O sathi, Main tujhe har gali har dagar dekhta hun. Arsa beet gya hai tera deedar kiye hue, Main tere jane ka khud pe asar dekhta hun. Barsat me chhip jaye kahin mere aansoo, Tujhe yaad karke phir wo ambar dekhta hun. Tere noorani chehre ko dekhegi jo khushnasib, Aaine me wo apni najar dekhta hun. Aaoge jo tum to purani batein karenge, Tere bina to bas waqt ka guzar dekhta hun. Na der karo sathi ab intzar mushkil lagta hai, Bina dastak ke hi main apna dar dekhta hun. Bhool chuka tha main ishq karne ka tareeka, Aaj phir dil me mohabbat ki sharar dekhta hun. Tum aa jaoge to nahi chhorunga tumhara sath, Main tere sath apni zindagi ta-umr dekhta hun. #arshaikhpoetry
0 Comments
Leave a Reply. |
Archives
|