A dedication to Mukul Suryawanshi, Deepak Dohare, Monica Saini, Vandana Kaushal and Neha Singh.
Ae dost, sath tere, rasta hi tha, rasta hi tha, Us par sada rahne ka, sapna hi tha, sapna hi tha, Jane kyun fir zindagi ne dar par apne dastak di, Aur ho gye hum sabse judaa, Yaar mere, chal us shahar, Nahar kinare baithenge, pair dooba ke, Yaar mere, chal us shahar, Tapri pe baithenge chai, labon se laga ke. Wo raton ki apni tafreeh, un galiyon ko pataa hai, Havaon ki sarsarahat mein, apni hansi ki sadaa hai. Kahne ko paas apne, hoti anginat batein thi, Chhoti padti thi aakhir, chahe wo lambi ratein thi. Jane kyun fir zindagi ne dar par apne dastak di, Aur ho gye hum sabse judaa, Yaar mere, chal us dagar, Beetein lamhein jis par fir se gujare, Yaar mere, chal us dagar, Aankhein munde aur poore ho khwab saare. Mujhko mere dar se, tune hi ubhara tha, Apne gharon se pare ik, paraya ghar hamara tha. Socha tha is safar me, door tak nikal jayenge, Par pta na tha ki shahar kya, desh hi badal jayenge. Chahe zindagi tune dar par humare dastak di, Aur ho gye hum sabse judaa, lekin, Yaar mere, fir wo sahar, Aayegi jiski raat baton mein thi gujari, Yaar mere, chal us safar, Hogi jis par sirf teri meri yaari. #arshaikhpoetry
1 Comment
Mukul
21/3/2019 05:10:21 pm
भाई मेरे भावुक कर दिया तूने...। बहुत ख़ूब!
Reply
Leave a Reply. |
Archives
|