Bhujh gye hai chirag, dahshat ki is maar me,
Jane kaisi pyaas hai, khoon se lipti is talwaar me, Unke paas jo taakat hai wo hai hume satane ko, Aur humare paas hoti hai ek kahani wo bhi bas sunane ko. Maar diya use ye poochkar ki wo hindu hai ya musalman hai, Dango ki in aag me aakhir jalan to ek insaan hai. Are Bismil aur Ashfaque ki wo behtarin dosti to yaad karo, Un kaatilo ki sunte ho pahle apne dil se to baat karo. Geeta ho ya quran baat to aman ki kahti hai, Tu hath khol ya hath jod, dua to wahi rahti hai. Unke paas jo mazhab hai wo hai hume dikhane ko, Aur humare paas hoti hai ek kahani wo bhi bas sunane ko. Kisi ne use uski kokh me hi maar diya, Kisi ne bhare bazaar me us par atyachar kiya, Ghar-ghar me dahej ke khatir jiski chita jalti hai, Wo aurat hai bedardo jiski wajah se duniya chalti hai. Kabhi balatkar, kabhi kodo ki maar, are kuch to maan karo, Jiske pairo me Jannat hai, uska sar jhukakar samman karo, Par unke paas jo badneeyat hai wo hai gunah karane ko, Aur hamare paas hoti hai ek kahani wo bhi bas sunane ko. Kal maraa qasaab tha, aaj waani maraa hai, Har bar insaano se hi to koi aatanki banaa hai, Bandook se ladai, bam ki tabahi har raat jagaati hai, Haqeeqat me nahi dekhi par khwabo me wo sataati hai. Are khuda ne fasaad karne walo ko kafir bataya hai, Wo aaka jise kahte ho, use jahil bataya hai, Unke paas jo jhootha jihad hai wo hai hume uksaane ko, Aur hamare paas hoti hai ek kahani wo bhi bas sunane ko. #arshaikhpoetry
1 Comment
|
Archives
|