Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin,
Jahan pe hai ye jahan khatm hota, aashiyan banaye wahin. Udne ki jahan par izazat bhi hogi, Chand choona bhi qaramat hogi, Lahron ki sahil se jab mulaqat hogi, Dono me sirf yahi baat hogi. Tu hai to hai naam mera, Tu nahin to puche na baira, Paravat pe safed chadar bhi hogi, Sard hawayein wahin, sard hawayein wahin, Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin. Khoobsoorat jahan par savera bhi hoga, Jo yahan humne kabhi na dekha hoga, Jab-jab wahan par shaam dhalegi, Phoolon se khooshboo har taraf mahkegi. Jahan par na hogi ye tanha si raatein, Wahan par karenge hum sitaro se baatein, Neendein jahan sabhi poori hogi, Soyenge hum bas wahin, soyenge hum bas wahin, Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin. Jahan par na ye tanhai hogi, Na thodi si bhi rushwai hogi, Izhar hum tumse wahin par karenge. Wahan to hum khud se bhi na darenge. Bolenge hum ki tum ho humare, Ye raatein, ye baatein gawah hai saare, Mohabbat ki barish wahin par hogi, Bheegenge hum bas wahi, bheegenge hum bas wahin, Aa, ajnabi ban jate hai phir se aur chal chale hum kahin. #arshaikhpoetry
0 Comments
Jo poora hua ho kabhi, wo khwab nahi dekha,
Mohabbat ke anjaamo ka maine aagaz nahi dekha. Kah to doon andheron se ki ujala le aaye, Par andheron me rahne ka maine andaaz nahi dekha. Ye duniya bahut hi jaalim hai kyunki, Kisi imaandar ke sar par maine taaj nahi dekha. Muddaton se mashroof hoon, ishq ke falsafe me, Muddaton se maine apna kaam-o-kaaj nahi dekha. Yun to wapas gya tha main uske dar par, Par kafiro ki gali main us-sa najar-andaaz nahi dekha. Shaakh se tuta patta sookhta hi to hai, Uske zinda rahne ka maine aizaz nahi dekha. Dekhne me to maine ‘Shaikh’ bahut kuch dekha, Par wafadar ka sath dene wala samaaj nahi dekha. #arshaikhpoetry Kise main bura kahun, kise main bhalaa kahun,
Ek chehra hai, ek naqab hai, kise main kya kahun. Aadtan hai ye ki yaqeen karun sab par, Agarche sab galat to kaisi ye duniya kahun. Jidhar bhi dekhun to siyaasat-e-kursee hai, Insaan ko insaniyat se hi main judaa kahun. Haal-e-aurat hai ye ki be-aabru hokar mar gayi, Khuda ye teri marzi hai to kyun tujhe main khuda kahun. Andhero ki aandhiyo me chiraag bhujh rahe hain, Yahan shaam kya, raat kya, subah ko bhi dhalaa kahun. Teeno rango ko samjhne wale mazhabi bahut hain, Tirange ko jo samjhe use hi main insaan kahun. Aankhon dekhi kahani mein, koi kirdar sahi nahi, 'Arshad' fir tu hi bta, kise main apna kahun. #arshaikhpoetry |
Archives
|