Arshad R Shaikh
  • Home
  • Stories
  • Poetry
  • Science
  • MyCV
  • About

To Achchha Hota

21/6/2019

0 Comments

 
Ikrar-e-ishq se mukar jate to achchha hota,
Ya ajnabi banke gujar jate to achchha hota.
 
Kyun bewajah kata ik arsaa, fir bewafa bane,
Kuch door chalke mud jate to achchha hota.
 
Khushi-e-mohabbat ke musafir manzil-e-gham ko pahunche,
Hum apne hi ghar thahar jate to achchha hota.
 
Ibadaton me mashgool uski, tera ishara na samjha,
Khuda tum, zameen pe utar jate to achchha hota.
 
Bazm-e-zalimaa mein be-aabru hue to sochaa,
Is shahar ka rastaa bhatak jate to achchha hota.
 
Qatra-qatra bahkar nikal rahe ho dil se,
Rooh-jaise tez nikal jate to achchha hota.
 
‘Ghalib’, nahin janta ‘Shaikh’ ki yun hota to kya hota,
Par uske jane se pahle mar jate to achchha hota.
 

Akhari sher Ghalib ki ek ghazal se mutasir hai jiska sher kuch is tarah hai:
“Hui muddat ke 'Ghalib' mar gayaa par yaad aataa hai
wo har ek baat pe kahna ki yun hota to kya hota.”

​
#arshaikhpoetry
comment
0 Comments



Leave a Reply.

    Archives
    ​
    Hope I am awake
    Purane Jamaane Ka Ishq
    Bahaa Leta Hun
    Ab Chah Hai Ki...
    Khwaab Hai Mere
    Pyaar Tha
    Tum Bhi Dekho Humein-2
    Bahut Bimaar Hun Main
    Hindustaan Kahan Hai
    Tum Bhi Dekho Humein
    Hinduataan Ke Liye
    Ek Kahani Sunane Ko
    Na Mera Tha
    To Achchha Hota
    Ummeedein
    Light Rain and Love
    Yaar Mere
    Loota Hai
    Naya Aashiyan
    Wo Khwab Nahi Dekha
    Kise Main Kya Kahun
    Aahista Aahista Hi Sahi
    Hindustan Lekar Nikle Hai
    ​Aaj Mujhe Bas Rone Do  
    Mera Ghar : Ek Jannat
    Main Haar Gayi

    Hindustan Banana Baki Hai
    ​
    Tere Jane Ka Gham
    ​
    Mera Hindustaan Nahi Hai
    Aa Jana
    ​Zindagi Ek Bahta Pani
    ​
    Kuch To Baki Hai
    ​
    Aankh Me Nami Kyun Hai
    Tujhe Dekhta Hun

    Tu Kahan Hai

    August 2021
    June 2021
    May 2021
    March 2021
    January 2021
    December 2020
    September 2020
    August 2020
    June 2020
    January 2020
    November 2019
    October 2019
    June 2019
    April 2019
    March 2019
    January 2019
    December 2018
    November 2018
    September 2018
    August 2018

​Everyone has a story. Every story has a hero. And one day you will tell your story to inspire others.  ​
© COPYRIGHT 2024. ALL RIGHTS RESERVED.
  • Home
  • Stories
  • Poetry
  • Science
  • MyCV
  • About