Main apne khwabon ko apne ashqon me bahakar baitha hun,
Tere jane ke gham ko dil se lagakar baitha hun. Janta hun nahi aayega tu phir kabhi, Phir bhi e bewafa tujhe khuda banakar baitha hun. Khata teri nahi khata meri hai tujhpe yaqeen karne ki, Main khud ko ta-umr tanhai ki saja sunakar baitha hun. Tu jahan bhi rahe tere saare khwab poore ho, Main jugnuon ko tera pata batakar baitha hun. Nahi hai wo mera thikana ab badal gya hai sab, Main apni duniya main sara jamana bhulakar baitha hun. Jajbaton ke izhar me chand-suraj ka kya kaam, Andheron ko main apne ghar me sajakar baitha hun. Wabsta hai gham ishq se ye suna tha, Ye rivayat poori karke khud ko harakar baitha hun. Jis siddat ka ishq hai utni hi tanhai hai, Main siskiyon ko apne paas baithakar baitha hun. Main musafir hun aaj manjil paane ke baad bhi, Phir se tere aane ki ummed jagakar baitha hun. #arshaikhpoetry
2 Comments
Asif saiyed
22/8/2018 02:32:22 pm
Amazing sir👌👌👌👌👌
Reply
Arshad Shaikh
22/8/2018 05:05:59 pm
Thank you, Asif.
Reply
Leave a Reply. |
Archives
|