Mere lab lage hain muskurane, aahista aahista hi sahi,
Shuru ho gye hain ye fasaane, aahista aahista hi sahi. Najron se milne lagi hai najar, khwab bhi ab tere hi hai, Mujh par hua hai ye kaisa asar, jajbaton ke ghar tere hi hai. Thoda thahar kar lage ho jane, aahista aahista hi sahi, Mere lab lage hain muskurane, aahista aahista hi sahi. Shahnaiyan baj rahi hain, tere aane se zindagi mein, Ghatayein baras rahi hain, apne milan ki Khushi mein. Socha tha jo ek din, wo ujla sitara bhi hai, Ek tu hai ek main, aur ek jahan hamara bhi hai. Tum bhi lage ho paas aane, aahista aashista hi sahi, Mere lab lage hain muskurane, aahista aahista hi sahi. Aa tere noor se main, apna savera kar lun, Tu jis tarah hai mujhme, tujhme basera kar lun. Shaamon me tera chehra, naya rang bhar rha hai, Pta chandni ka bhi to, tera dar hi raha hai. Mujh par lage ho haq jataane, aahista aahista hi sahi Mere lab lage hain muskurane, aahista aahista hi sahi. #arshaikhpoetry
5 Comments
A tribute to every soldier fighting for the country either on the border or inside
Dil se kuch karne ka hum armaan lekar nikle hain, Ghar se apne saara hum saaman lekar nikle hain. Dum agar hai ae qaatil tujhme to rok kar humko dikha, Apni hatheli par hum apni jaan lekar nikle hain. Junoon hai jeet ka kuch is tarah hum par, Hum zameen apni, apna hi aasman lekar nikle hain. Jhukne ki aadat ko chhod ladne ki jaroorat hai samjhi, Tujhe mitane ka ae galat hum aahwaan lekar nikle hain. Chahe wahan nafrat lekar kuch beimaan nikle honge, Yahan hindu apne sath musalmaan lekar nikle hain. Ae hawa zara ye bataa dena shahidon ko, Ki unke vicharon ka hum paigham lekar nikle hain. Na jaat hai, na majhab hai aur na hai koi aur bhed yahan, Hathon me tiranga aur dil me hum hindustaan lekar nikle hain. #arshaikhpoetry Ashq puchhe dhadkan se meri, bah jaun kya uska naam lekar,
Shukh jayegi jab ye aankhein, so jaunga inhe haseen shaam dekar, Mohabbat ke in alfazon ko ashqon me poora hone do, Tuta hai aaj dil mera, aaj mujhe bas rone do. Uske paas rahne pe zannat ka ehsas tha, Wo hath thamti thi to jaise khuda ka sath tha. Phir kyun mere izhar ka usne inkar kiya, Kyun toda dil apna jab khud ne bhi pyaar kiya. Khwaishein meri saari ab khatm hone lagi hai, Labon pe jo hansi thi wo gum hone lagi hai. Mujhe roshni se door andheron me khone do, Tuta hai aaj dil mera, aaj mujhe bas rone do. Dil ke ujale ab nahin hai mere, raatein hai teri yaadon ki, Aarzoo ab dil kya hi karein, dhadkane hai tere jajbaton ki. Aasman ke wo sitare mujhsa kahin tutne lage hai, Jugnoo bhi andheron me baithe roshni se roothne lage hai. Ishq ki is gali ka main har pal rahgujar rahunga, Ye jakhm jab tak bharta nahin, main tujhe apna kahunga. Mujhe aankh band karke jara chain se sone do, Tuta hai aaj dil mera, aaj mujhe bas rone do. Tum jane se pahle ek baar aajmakar to jati, Yun rota chhorkar gai mujhe jara bahlakar to jati. Takdeer to teri hi wajah se thi meri, Bas jane se pahle hathon me lakeerein banakar to jati. Ab tere bin jane hum jeetein kaise hain, Judai ke is gham me har pal beetein kaise hain. Bheegi palko par meri siskiyon ko sone do, Tuta hai aaj dil mera, aaj mujhe bas rone do. #arshaikhpoetry |
Archives
|