Na maksad uska ishq me mujhko rulaane ka tha,
Uska kasoor to sirf ek baar muskuraane ka tha. Fitrat meri hi thi use mud-mud kar ke dekhne ki, Aur wo samjhe nahi ye ishq purane jamaane ka tha. Bane the qaasid mere ishare mere izhaar ke par, Uska maamool to aadab karke chale jaane ka tha. Alfaazon tak dil pahunchta ye baat kahan thi, Asal masla to khud ke man ko samjhaane ka tha. Khwabida ban gai aankhe, din me bhi, raat me bhi, Gham to bas taabir ka haqeeqat se haar jaane ka tha. Nawazish hoti uski agar wo bahlakar jati mujhko, Bhatke kadmo ke paas pataa sirf mahkhaane ka tha. Ishq ke is fasaane mein, izhaar nahi, ikraar nahi, Aur wo samjhe nahi ye ishq purane jamaane ka tha.
0 Comments
Tujhse judaai ke pal yaad kar aansu bahaa leta hun,
Aansu na nikle to palko par paani lagaa leta hun. Aati nahi hai neend mujhko tanhaai mein aajkal, So takiye ko seene ke paas apne sulaa leta hun. Naa puchho ki kitne mohabbat me aansu bahaye hain, Har roj ek dariya ko samandar se milaa leta hun. Koi aur bhi ho mujhsa, jo mera dard samjhe, Filhaal to aaine ko hi gale apne lagaa leta hun. Ek bujurg aashiq ne gham door karne ki seekh di, Tabse roj ghar me rakhi teri cheeze jalaa leta hun. Gharwalo ne haalat dekhi to rishta dhoondne nikal pade, Sab chup ho jate hain jab wo puche kitna kamaa leta hun. 'Ghalib' kee baat ki had se gujra dard davaa ban jata hai, So main pahle se hi dard ko apni dava banaa leta hun. Tu jaane ke baad bhi itna jaroori hai ‘Arshad’ ko ki, Tere khyaalo ko dene wala waqt khud se churaa leta hun. |
Archives
|