Kabhi tum bhi dekho humein, jaise hum tumhe dekhte hain, Aaine ke aage aajkal, thoda jyada thahrte hain. Kabhi tum bhi dekho humein………I Yun najrein jhukakar tum, jara muskurakar tum, Gujar jaati ho mere paas se. Mujhme nahi mera kuch, rah rahaa aajkal, Din raat jude tere ehsaas se. Kahni hai batein bahut, par alfazon mein uljhate hain, Bayan jo kar na sake, wo khwabon mein kahte hain. Kabhi tum bhi dekho humein………I Chaand tare sab yahi, kahne lage hain mujhe, Tujhsa na khoobsurat unka jahan. Mera man to hai yahi, sajaa lu tujhko main, Apne hi ghar mein banaake khuda. Tumhein dekhkar subah mein, aankhon mein bharte hain, Raat tak fir us pal ko, yaad hum to karte hain. Kabhi tum bhi dekho humein………I (Now, the girl is singing) Na hai ye mera rastaa, na hi hai meri manzil, Jaane fir kyun idhar hi, le aata hai mujhe dil. Naye ehsaas naye armaan dil mein aane lage hain, Apne milan pe dekho, panchhi gaane lage hain. Tum jo dekho humein, isiliye sanvarte hain, Bayan jo kar na sake, wo khwabon mein kahte hain. Tum jo dekho humein………………….I #arshaikhpoetry
2 Comments
|
Archives
|