Khwabo ki nagri me bhi milta nahi jo jahan,
Andhero me gum hai kahin, dhoondoo use ab main kahan. Kyunki ye wo zameen ye wo aasman nahi hai, Ye jo baki sa rah gya hai mera hindustaan nahi hai. Kahte ho tum ki beti ko ghar pe saja rakha hai, Mujhe lagta hai ki band pinjre me parinda rakha hai. Paraya dhan hai agar tumhare liye to ye jhootha mauka kyun hai, Kahte ho sabse ki usme hai hunar to phir use roka kyun hai. Use bhi apni takat ko is jamane ko dikhane do, Use bhi apni udaan se aasman ko cheer jane do. Par jo honi chahiye uski bas wahi pahchan nahi hai, Ye jo baki sa rah gya hai mera hindustaan nahi hai. Gum ho gyi hai, khooshboo ab us khet me, Kisan laut raha hai phir sukhi us ret me. Halat kaisi bhi ho wo ann uga raha hai, Hum to roti kha rahe hai wo bhukha soye ja raha hai. Jantar-mantar se use uthakar kheto me pahunchana hoga, Wo hamein khilata hai to humein use khilana hoga. Par mera ye desh ab utna mahan nahi hai, Ye jo baki sa rah gya hai mera hindustaan nahi hai. Kyun koi kahin bhi kuch bhi bole ja raha hai, Ye hindustaan me akhir ho kya raha hai, Ki kisi ne aatankvadiyon ko khuda bana rakha hai, To kisi ne bharat mata ko rajneeti bana rakha hai. Desh ke khilaaf kahne ki aazadi ko band karna hi hoga, Hindustaan ko badalne ke liye in logon ko badalna hi hoga. Par hum bulbule the jiski ye wo gulistaan nahi hai, Ye jo baki sa rah gya hai mera hindustaan nahi hai. #arshaikhpoetry
0 Comments
Leave a Reply. |
Archives
|