Khwaab hai mere inhe tod ke na jaa tu,
Yun tanha-sa mujhe chhod ke na jaa tu. Jaanta hun tune kiya kisi se vaada hai, Par ishq mera tujhse us vade se bhi jyada hai. Yun khamosh na rah, kuch to kah jaraa tu, Yun tanha-sa mujhe chhod ke na jaa tu, Khwaab hai mere……I Raahon par teri chalaa, tu hi thi manzil, Lahar banke kya karun jo hai hi nahi saahil. Hontho pe thi hansi aur jeene ki hasrat thi, Lakeero ka pta nahi par tere sang hi kismat thi. Kabhi meri bhi raahon par, aa chal jaraa tu, Yun tanha-sa mujhe chhod ke na jaa tu, Khwaab hai mere……I Aaye ho jabse najar, dil ne tujhko hi pukara hai, Ye ishq zamaane ka nahi, ye ishq hamaara hai. Baatein karte karte humne, raatein hain gujari, Ek duje ki aankhon me aur khwaabo me saari. Yun maayus na ho, thoda to muskuraa tu, Yun tanha-sa mujhe chhod ke na jaa tu, Khwaab hai mere……I Haath tera thame hue, dhalti thi meri shamein, Dil tujhse milne ke, karta tha kai bahaane. Aaj ja rhe ho mera dil rooth gya to kya hai, Mujhse jo kiya tha wo waada toot gya to kya hai. Ek gujarish sun le, aaj raat thahar jaa tu, Yun tanha-sa mujhe chhod ke na jaa tu, Khwaab hai mere……I #arshaikhpoetry
0 Comments
|
Archives
|