Ikrar-e-ishq se mukar jate to achchha hota,
Ya ajnabi banke gujar jate to achchha hota. Kyun bewajah kata ik arsaa, fir bewafa bane, Kuch door chalke mud jate to achchha hota. Khushi-e-mohabbat ke musafir manzil-e-gham ko pahunche, Hum apne hi ghar thahar jate to achchha hota. Ibadaton me mashgool uski, tera ishara na samjha, Khuda tum, zameen pe utar jate to achchha hota. Bazm-e-zalimaa mein be-aabru hue to sochaa, Is shahar ka rastaa bhatak jate to achchha hota. Qatra-qatra bahkar nikal rahe ho dil se, Rooh-jaise tez nikal jate to achchha hota. ‘Ghalib’, nahin janta ‘Shaikh’ ki yun hota to kya hota, Par uske jane se pahle mar jate to achchha hota. Akhari sher Ghalib ki ek ghazal se mutasir hai jiska sher kuch is tarah hai: “Hui muddat ke 'Ghalib' mar gayaa par yaad aataa hai wo har ek baat pe kahna ki yun hota to kya hota.” #arshaikhpoetry
0 Comments
Yun ummeedein na tod apni, abhi khawabon ka basar baki hai,
Koi sath chale ya na chale, mehtab ka safar baki hai. Abhi guftagu, hui hai shuru, aane wale mauko mein, Ye raat dhal gyi to kya, imkano ki sehar baki hai. Phaila ho chahe door tak, garm ret ka registaan, Tu chalta rah, tu chalta rah, chhanv-e-sajar baki hai. Gham ki ho zindagi, chahe dukh ke ho raaste, Manzil tera pta puchhegi, bas thodi kasar baki hai. Man haarkar baithne wale, andheron ke musafir hai, Jahan ko jo roshan kar de, tujhme wo hunar baki hai. Sabr ki hadon ko paar kar, tere sath hai jo, Nam ho jis-se pita ki aankhe, wo khushi ki khabar baki hai. Sunta hai wo khuda, chahe sune thodi der se, Maan ne jo mangi thi kabhi, us dua ka asar baki hai. Yaqeen rakh khud pe aur muskurahat labon pe, Fir uth, chal manane, abhi eid ka gujar baki hai. #arshaikhpoetry |
Archives
|